Bachpan se le ke Peeri se
Poochha hai Yeh Jawaa'n hai
Duniya Tamam Dekhi hai
Pyara hai Yeh Jahan se
Kesa hai Yeh Taluq
Kese Bayaa'n Karoon Main
Pakistan se Rishta
Rishta hai Jese Maa'n se
Pakistan se Rishta
Rishta hai Jese Maa'n se
Tera Naam Har Subha bhi
Tera Naam Rut Jaga bhi
Teri Dilkashi Takahyyul hai
Tu hi to hai Dilruba bhi
Tujhe Dekhte Rahe hain
Naya Zawiya Mila hai
Tu hi Nazariya Hamara hai
Tu hi Soch ki Jaza bhi
Kesa hai Yeh Taluq
Kese Bayaa'n Karoon Main
Pakistan se Rishta
Rishta hai Jese Maa'n se
Teri Barf se Sunay hain
Qissay Woh Paaniyon ke
Sahilon tak hain Behtay
Qissay Woh Paaniyon ke
Teri Dhoop mai Khili hai
Sahra mai Pyaas Apni
Teri Chhaaon mai Rahe hain
Chhaaon Tu Khas Apni
Kesa hai Yeh Taluq
Kese Bayaa'n Karoon Main
Pakistan se Rishta
Rishta hai Jese Maa'n se
Pakistan se Rishta
Rishta hai Jese Maa'n se
Pakistan se Rishta
Rishta hai Jese Maa'n se
Singer : Rahat Fateh Ali Khan
Lyrics : Maj.Imran Raza
Music : Sahir Ali Bagga
Released : 14th Aug 2015
ISPR Presentations
ISPR Presentations
Complete Patriotic Songs Album of Rahat Fateh Ali Khan - Pak Patriotic Library Presents- Click Here
No comments:
Post a Comment