Allahu Akbar............................. Allahu Akbar
Allahu Akbar............................ Allahu Akbar
Allah ki Rehmat ka Saaya
Tauheed ka Parcham Lehraya
Aye Mard-e-Mujahid Jaag Zara
Ab Waqt-e-Shahadat hai aya
Allahu Akbar............................ Allahu Akbar
Sar Rakh ke Hatheli par jana
Hai Zulm se tujh ko Takrana
Imaan ka hai Matwala Tu
Islam ka hai Rakhwala Tu
Imaan hai Tera Sarmaya
Aye Mard-e-Mujahid Jaag Zara
Ab Waqt-e-Shahadat hai aya
Allahu Akbar.......................... Allahu Akbar
Baatil ki nazar lalchayee hai
Insaan pe Tang Khudayee hai
Sar Kufr ne Dekh ubhara hai
Islam ko phir Lalkara hai
Taqdeer nay yeh Din dikhlaya
Aye Mard-e-Mujahid Jaag Zara
Ab Waqt-e-Shahadat hai aya
Allahu Akbar.......................... Allahu Akbar
Tu Haath mai ab Talwaar utha
Rakh Sar pe Kafan Maidaan mai Aa
Takbeer Teri Tadbeer Teri
Sab Dunia hai Jageer Teri
Taareekh ne hai yeh Batlaya
Aye Mard-e-Mujahid Jaag Zara
Ab Waqt-e-Shahadat hai aya
Allahu Akbar.............................. Allahu Akbar
Ja'n jaati hai be Shak jaye
Parcham na Tere Jhuknay paye
Ghazi ko Maut se kia Dar hai
Ja'n dena Jehad-e-Akbar hai
Qur'an mai hai yeh Farmaya
Aye Mard-e-Mujahid Jaag Zara
Ab Waqt-e-Shahadat hai aya
Allahu Akbar............................. Allahu Akbar
Mehboob-e-Khuda(SaW) ke Parwanay
Dohra Ajdaad ke Afsanay
Paigham-e-Akhuwwat dena hai
Yeh Kaam Tujh hi se lena hai
Phir Kufr Muqabil hai Aya
Aye Mard-e-Mujahid Jaag Zara
Ab Waqt-e-Shahadat hai aya
Allahu Akbar............................... Allahu Akbar
Allahu Akbar............................... Allahu Akbar
Singer : Inayat Hussain Bhatti & chorus
Poet : Tufail Hushyarpuri
Released : 1958
Film : Chengez Khan
It was first Song onaired After Ayub Khan's address on 6th Sept 1965.And it is official band song of Pak Army.
Remake : Waris Baig ( in 1997 for STN )
: Najam Shiraz ( Yaum-e-Shuhada 2012 )
: Najam Shiraz ( Yaum-e-Shuhada 2012 )
No comments:
Post a Comment