Search Patriotic Song,Singer,Poet in This Blog.

Wednesday, April 4, 2012

Tribute to Ghazi Fighter Pilot M.M.Alam-Naz Hai Pakistan Ko Tujh Pe Aye Sher-e-Bangal ( Lyrics )

Naz hai Pakistan ko Tujh pe Aye Mashriq ke Laal
Aye Sher-e-Bangal Aye Sher-e-Bangal
Naz hai Pakistan ko Tujh par.............................
Daad teri Jurát ki detay hain Ahl-e-Punjab
Khaak yahan ki Tere Lahoo se Aaj hui Seraab
Aaj hui Seraab......................................................
Jhanday Gaar raha hai Tera Azm-o-Istaqlaal
Aye Sher-e-Bangal Aye Sher-e-Bangal
Apni Jaan se Barh kar Tujh ko Watan ki Izzat Pyari
Bhaarat ke Sau Sipahiyon pe Raha Akelaa Bhaari
Raha Akela Bhaari..............................................
Qadam Qadam pe kiya hai Tu ne Dushman ko Paamaal
Aye Sher-e-Bangal Aye Sher-e-Bangal
Rah bani Qadmon ki tere Kahkashaa'n Sayyaray
Aadhay Minute mai Tu ne Giraye Paanch Paanch Tayyaray
Paanch Paanch Tayyaray...................................
Dunya Pukari Alam Tu hai Apni Aap Misal
Aye Sher-e-Bangal Aye Sher-e-Bangal
Naz hai Pakistan ko Tujh par
Khoon se Apne likhi  hai Tu ne Taareekh-e-Islam
Anay walay Dor mai Zinda rahay ga Tera Naam
Rahe ga Tera Naam............................................
Anay Wali Naslain Chalain gi Fakhr se Teri Chaal
Aye Sher-e-Bangal Aye Sher-e-Bangal
Naz hai Pakistan ko Tujh par...............................



Singer         : Ahmed Rushdi
Poet            : Muzaffar Warsi
Musician    : Lal Muhammad Iqbal
Released    : 22th Sept 1965 ( During War )
Rare Song Not Available even Radio Pakistan Karachi..!!

No comments: