Search Patriotic Song,Singer,Poet in This Blog.

Tuesday, October 9, 2012

Aik Hi Lari Ke Phool Fauj Aur Awam Hain ( Lyrics & Downlaod )

Aik hi Lari ke Phool Fauj aur Awam hain
Fauj aur Awam hain...............................
Jur'aton ke hain Ameen Yeh Hoslon ka Naam hain
Aik hi Lari ke Phool Fauj aur Awam hain
Fauj aur Awam hain...................................
Haadsa Aisa tha Jis ko Ankh ne Dekha Na tha
Almiya Aisa tha Jis ko Zehan ne Socha Na tha
Apne hi Khemay Makee'n Mitti mai Pinhaa'n ho gaye
Parbaton ka Husn Ujra baagh Weera'n ho gaye
Aan Pohanchay hai Yahan Isaar ka Pegham hain
Aik hi Lari ke Phool Fauj aur Awam hain
Fauj aur Awam hain............................................
Phir Chale Aaye Madad ko Karavan dar Karavan
Apni Ar-e-Pak ke Sab Madr-o-Zan Peer-o-Jawa'n
Aik hi Lamhe mai Sari Qaum Yak ja ho gyee
Ehd-e-Rafta ki Sunehri Yad Taaza ho gyee
Jazba-e-Hubb-e-Watan ke Yeh Manazir Aam hain
Aik hi Lari ke Phool Fauj aur Awam hain
Fauj aur Awam hain..............................................
Mil ke Taza Bastiyan Abad karna hain Abhi
Zindagi mai Zindagi ke Rang bharna hain Abhi
Marhalay Taameer ke Rehte ab kuch aur bhi
Raham Farma BeKason pe Mere Rab kuch aur bhi
Hosla Hargiz Na Haaren jo bhi Baqi Kaam hain
Aik hi Lari ke Phool Fauj aur Awam hain
Ju'raton ke hain Amee'n Yeh Hoslon ka Naam hain
Fauj aur Awam hain................................................


Singer           : A.Nayyar & Wahhab Khan
Poet              : Brig.Shahid Masood
Released      : 0ct 2005 
An ISPR Presentation


Aik hi Lari ke Phool Fauj aur Awam hain-MP3 Free Download-Click Here

No comments: