Search Patriotic Song,Singer,Poet in This Blog.

Monday, January 28, 2013

Hum Sahara Hain ( Kashmir Solidarity Song-Lyrics )

Amn Sahara hai............Amn Sahara hai
Tum Amal ka Isteaara...Hum Sahara hain
Thaam lo Baazu Hamara Hum Sahara hain
Amn Sahara hai............Amn Sahara hai
Waqt ne jin ko bana dala hai Hasrat ka nisha'n
Bhar diya hai jin ki Aankhon mai Dhuwan
Kia huwa Tareek hai jo un ke Sar pe Aasman
Hum Sitara hain.............Hum Sitara hain
Kaavish-e-Pehum mai posheeda hai Azadi ka raaz
Azm ke Pekar ho Tum par Nau-e-Insani ko Naz
Jang ho ya Amn ho jo bhi Tumhara ho Mahaaz
Amn Sahara hai................Amn Sahara hai
Ao Barh kar Subh-e-Azadi ka Matha Choom len
Ab Tumhari Muntazir hai Do Qadam par Manzilen
Hath mai jab Hath ho phir hon jitni Mushkilen
Sab Gawara hai..........................Sab Gawara hai
Amn Sahara hai..........................Amn Sahara hai
Hum Sahara hain........................Hum Sahara hain

Singer        : Khadijah Haider
Poet          : ?
Released   : 2011

No comments: