Search Patriotic Song,Singer,Poet in This Blog.

Friday, February 8, 2013

Pyare Bacchon Tum Hi Apne Des Ki Shan Barhao Ge ( Milli Naghma-Lyrics )

Har Qeemat pe Rakhni hai 
Shama Roshan Iman ki
Tum se Qismat Wabista hai
Kal ke Pakistan ki
Pyare Baccho!
Tum hi Apne Des ki Shan Barhao ge
Jo Hum Logon se Na hua 
Woh Tum kar ke Dikhlaao ge
Pyare Baccho!...............Pyare Baccho !
Is Gulshan ke Maali Tum ho
Aur Tum hi Rakhwale ho
Waqt Paray to 
Tum hi Apni Jan pe Khelne Wale ho
Tum hi Nannhay Haathon se 
Pakistan Bachaao ge
Pyare Baccho! 
Tum hi Apne Des ki Shan Barhao ge
Jo Hum Logon se Na hua 
Woh Tum kar ke Dikhlaao ge
Pyare Baccho!...............Pyare Baccho !
Jis se Mulk Taraqqi paaye 
Aisa koi Kaam Karo
Qadamon mai jhuk jaaye Himala 
Itna Ooncha Naam Karo
Aasman pe Chand Sitaray ka Parcham Lehraao ge
Pyare Baccho! 
Tum hi Apne Des ki Shan Barhao ge
Jo Kuch Hum Logon se Na hua 
Woh Tum kar ke Dikhlaao ge
Pyare Baccho!...............Pyae Baccho !
Phir hai Safeena Beech Bhanwar mai
Aur Ghanghoor Kinara hai
Hum se Umeedain Toot Chuki hain 
Tum Logon ka Sahara hai
Is Tufa'n se Mulk ki Kashti 
Tum hi Nikal ke Laao ge
Pyare Baccho! 
Tum hi Apne Des ki Shan Barhao ge
Jo Hum Logon se Na hua Woh Tum kar ke Dikhlaao ge
Pyare Baccho!...............Pyare Baccho !

Singer         : Mehdi Hassan
Lyrics         : Fayyaz Hashmi
Film           : Saharay

Pyare Bacchon Tum hi Apne Des ki Shan Barhao ge by Mehdi Hassan-MP3 Free Download-Click Here

No comments: