Search Patriotic Song,Singer,Poet in This Blog.

Friday, February 8, 2013

Salam-Qaumi Na'atia Kalam-Watan Ka Sipahee ( Lyrics )

Balagh-ul-Aula Bi Kamalihi
Kashafat-Dujabeh Jamalihi
Hasanat Jamio Khisalehi
Sallu Alaihi wa Aalahi
Aye Sheh-e-Mursaleen(SaW)
Aye Habib-e-Khuda(SaW)
Kufr pe Hum ko Chhanay ki Taufeeq de
Lakh Tufan uthain
Khum na ho Apna Sar
Ghum mai bhi Muskuranay ki taufeeq de
Kar Inayat Hamen Jazba-e-Haideri(Rza)
Ho Mayassar Hamen Kufr par Bartari
Zauq-e-Shabbir(Rza) se Kar Aashna
Jan par Khel janay ki Taufeeq de
Salle Ala Habibina
Salle Muhammadin
Tujh se hai Iltija Apni
Aye Shah-e-Umam(SaW)
Watan ki Janib Na Uthain Adu ke Qadam
Yeh Muqaddas Watan Tera Inam hai
Is ko Jannat Banane ki Taufeeq De
Salle Ala Nabiyina
Salle Ala Muhammadin(SaW)
Salle Ala Shafieena(SaW)
Salle Ala Muhammadin(SaW)
Ya Nabi(SaW) Salam Alaika
Ya Rasool(SaW) Salam Alaika
Mai Watan ka hoon Sipahee
Ya Shahenshah-e-Zamana
Hain Tere Karam se Zinda
Mera Azm-e-Ghaziyana
Yeh Watan Teri Amanat
Meri Jan Watan ki Daulat
Mai woh Hath Tor doon ga
Jo Uthay ga Ghazbana
Ya Nabi(SaW) Salam Alaika
Ya Rasool(SaW) Salam Alaika
Ya Habib Salam Alaika
Salawatullah Alaika
Mai Giroon ga Barq ban kar
Tere Deen ke Dushmanon par
Na Bachay ga Zarb se Meri
Koi Adu ka Aik Thikana
Ya Nabi(SaW) Salam Alaika
Ya Rasool(SaW) Salam Alaika
Ya Habib Salam Alaika
Salawatullah Alaika

Singer          : Naseem Begum, Massod Rana,Sayeen Akhter, Ieren Parveen & Chorus
Lyrics          : Fayyaz Hashmi
Composed  : M.Ashraf
Released     : 1965 ( After War )
Film            : Watan Ka Sipahee

No comments: